Kahin To. . . .

image

In raaton ki gehraaiyon mein kuchh dard sa hai,
Agli subaah mein kuchh fark sa hai.

Bebas ho jaata hai woh din,
Jab log har subah jaagte hain,
apni chingaari uss khaat par bujhakar.

Waise sapne bhi kya dekhna,
Jo lamhon ki tarah guzar jaate hain,
Aur tinkon ki tarah hawa mein bikhar jaate hain.

Jeena to ab ek maayoosi ban kar reh gaya hai,
Aur meri dhardkan, ek khaamoshi.

Sochta hoon,
Iss Kashmakash mein,
Kahin to hoga wo jahaan. . .

Jahaan azaad ho har ek ghulaam,
apne karm se,
apne dharm se,
apne fark se,

apne halaat se,
apne jazbaat se,
apne saayon se.

apne dil ke saazon se,
usmein baste hue raazon se.

apne din se,
apni raat se,
Uss shyaam mein.

Kahin to. . . .!!!

~Kabir Malik
22nd Sept. 2015